USTAD AMANAT ALI AT WORK ON ONE OF HIS ALL TIME BEST.... A PIECE FROM PTV'S EARLY 1970'S SHOW.Ibn-e-Insha (ابن انشاء)
Insha Jee Utho..
Insha Jee Utho Ab Kooch Karo Is Sheher Main Jee Ka Lagana Kiyaa
Wehshi Ko Sukon Se Kiya Matlab JOgi Ka Nagar Main Thikana Kiyaa
Is Dil Ke Dareeda Daman Main Dekho To Sahi Soocho To Sahi
Jis Jholi Main So Ched Hoye Us Jholi Ka Phelana Kiyaa
Shab Guzri Chand Bhi Doob Gaya Zanjeer Pari Darwazon Per
Phir Dair Gaye Ghar Aye Ho Sajni Se Karo Gay Bahana Kiyaa
Us Roz Jo Unko Dekha Hai Ab Khuwab Ka Aalam Lagta Hai
Us Roz Jo Un Se Baat Hoi Woh Baat Bhi Thi Afsana Kiyaa
Is Husn Ke Suche MOti Ko Hum Dekh Saken Per Choh Na Saken
Jise Dekh Saken Per Choh Na Saken Woh Dolat Kya Woh Khazana Kiyaa
Rehte Ho Jo Humse Dor Bohot Majbor Ho Tum Majbor Bohot
Hum Samjhon Ko Samjhana Kiya Hum Behlon Ka Behlana Kiyaa
Jab Sheher Ke Log Na Rusta Den Kyun Ban Main Na Ja Basraam Karen
Dewaano Ki Si Na Baat Kare To Aur Kare Dewana Kiyaa...