Saanson Ki Zarurat Hai Jaise (( love Song )) Kumar sanu
Sanson ki zaroorat hai jaise
Sanson ki zaroorat hai jaise,
Zindagi ke liye,
Bas ek sanam chahiye
Aashiqui ke liye
Jam ki zaroorat hai jaise
Jam ki zaroorat hai jaise
Bekhudi ke liye
Haan ek sanam chahiye
Aashiqui ke liye
Bus ek sanam chahiye
Aashiqui ke liye
Wakt ke hathon mein
Sabki takdire hain
Wakt ke hathon mein
Sabki takdire hain
Aaina jhutha hai,
sachi tasvire hain
Jahan dard hai vahin jit hai
Jahan pyas hai vahin mit hai
Koi naa jane magar
Jeene ki yahi reet hai
Saj ki zaroorat hai jaise
Saj ki zaroorat hai jaise
Mausiki ke liye
Bas ek sanam chahiye
Aashiqui ke liye
Haan..ek sanam chahiye
Aashiqui ke liye
Manzile hasil hain,
Phir bhi ek doori hai
Manzile hasil hain
Phir bhi ek doori hai
Bina humrahi ke,
zindagi adhuri hai
Milegi kahi koi rehgujar,
Tanha katega kaise yeh safar
Mere sapne ho jahan,
Dhundhu main aisi najar
Chand ki zaroorat hai jaise
Chand ki zaroorat hai
Jaise chandani ke liye
Bas ek sanam chahiye
Aashiqui ke liye
Sanson ki zaroorat hai jaise
Sanson ki zaroorat hai jaise,
Zindagi ke liye
Bas ek sanam chahiye
Aashiqui ke liye
Bas ek sanam chahiye
Aashiqui ke liye
Aashiqui ke liye
Aashiqui ke liye
Aashiqui ke liye.
Song: Saanso Ki Jaroorat Hai Jaise (Bas Ek Sanam Chahiye)
Movie: Aashiqui
Lyricist: Sameer
Singer: Kumar Sanu
Composer: Nadeem-Shravan
Cast: Rahul Roy, Anu Agarwal, Deepak Tijori
Release Date: 17 August 1990